Abroo Shah Mubarak

shab-e-siyah hua roz ai sajan tujh bin

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733

shab-e-siyāh huā roz ai sajan tujh bin

misāl-e-sham.a jale ahl-e-anjuman tujh bin

huī hai jaan mujhe zindagī maran tujh bin

kafan huī haiñ badan ke uupar basan tujh bin

na shahr biich mirā dil lage na sahrā meñ

kuchh āvatī nahīñ ai maah mujh siiñ ban tujh bin

huā hai aag sho.ala sharāb pyāle meñ

lagā hai jaan labāñ kuuñ mire dahan tujh bin

udaas dil pe hamārā kahīñ na parchā

kaThin huā hai mujhe shahr meñ basan tujh bin

kabhī to yaad kar iḳhlās fātiha kahnā

ki 'ābrū' huā hijr siiñ maran tujh bin

Top Urdushayar.com