tumhārī  jab  siiñ  aa.ī  haiñ  sajan  dukhne  ko  laal  añkhiyāñ
huī  haiñ  tab  siiñ  duunī  ḳhushnumā  sāhab-e-jamāl  añkhiyāñ
qayāmat  aan  hai  is  vaqt  meñ  un  par  nazākat  kī
dekho  aa.ī  haiñ  dikhne  kis  jhamak  siiñ  ye  chhināl  añkhiyāñ
aise  kyuuñ  TuuT  aa.iiñ  josh  siiñ  pyāre  harārat  ke
lagī  thī  garm  ho  kar  is  qadar  ye  kis  ke  naal  añkhiyāñ
ilaaj  un  kā  hai  pyāre  āshiqoñ  ke  sañg  kī  haldī
rañgeñ  is  meñ  kaho  kapḌā  kareñ  apnā  rumāl  añkhiyāñ
mirā  dil  poTlī  kī  tarah  un  par  le  ke  Tuk  phero
mujarrab  ToTkā  hai  is  meñ  aa  jāñgī  bahāl  añkhiyāñ
zarar  hai  tund  ho  kar  dekhnā  bīmār  kuuñ  pyāre
Tuk  ik  parhez  kar  āshiq  pe  do  din  mat  nikāl  añkhiyāñ
mirā  dukhtā  hai  jī  ye  anmanāhaT  dekh  kar  un  kā
ubaltā  hai  bahut  jab  dekhtā  huuñ  maiñ  malāl  añkhiyāñ
nazar  badtā  huuñ  apnī  jān-o-jī  ko  maiñ  karūñ  sadqe
agar  deveñ  mujhe  apnī  shifā  hone  kī  faal  añkhiyāñ
sazā  hai  un  ke  ta.iiñ  ye  dard  thoḌā  sā  ki  kartī  thiiñ
hamesha  chashm-poshī  'ābrū'  kā  dekh  haal  añkhiyāñ