ye  sabza  aur  ye  āb-e-ravāñ  aur  abr  ye  gahrā
divāna  nahiñ  ki  ab  ghar  meñ  rahūñ  maiñ  chhoḌ  kar  sahrā
añdherī  raat  meñ  majnūñ  ko  jañgal  biich  kyā  Dar  hai
papīhā  ko  kalā  kyuuñ  mil  ke  de  haiñ  har  ghaḌī  pahrā
gayā  thā  raat  jhaḌ  badlī  meñ  zālim  kis  taraf  kuuñ  tū
taḌap  siiñ  dil  mirā  bijlī  kī  juuñ  ab  lag  nahīñ  Thahrā
vo  kākul  is  tarah  ke  haiñ  balā  kaale  ki  jo  dekhe
to  mar  jā  naag  us  kā  aab  ho  jā  ḳhauf  siiñ  zahrā
esī  kahānī  bikaT  hai  ishq  kāfir  kī  jo  dekhe
to  roveñ  nuh  falak  aur  chashm  ho  jaañ  un  kī  nau  nahrā
ravāñ  nahiñ  tab.a  jis  kī  sher-e-tar  kī  tarz  paane  meñ
nahīñ  hotā  hai  us  kuuñ  'ābrū'  ke  harf  siiñ  bahrā