Abroo Shah Mubarak

fajar uTh KHwab sin gulshan mein jab tumne mali ankhiyan

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
fajar uTh ḳhvāb siiñ gulshan meñ jab tum ne malī añkhiyāñ
ga.iiñ muñd sharm suuñ nargis kī pyāre juuñ kalī añkhiyāñ
nazar bhar dekh tere ātishīñ ruḳhsār ai gul-rū
mire dil kī ba-rañg-e-qatra-e-shabnam galī añkhiyāñ
ḳhirāmāñ āb-e-haivāñ juuñ chalā jab jaan aage siiñ
añjhū kā bhes kar pīchhūñ siiñ pyāre bah chalī añkhiyāñ
tumheñ auroñ siiñ duunā dekhtī haiñ ḳhush-numā.ī meñ
hunar jaane haiñ apnā aaj aib-e-ahvalī añkhiyāñ
pakaḌ mizhgāñ ke panje suuñ maroḌā yuuñ mire dil ko
tirī zor-āvarī meñ aaj rustam haiñ balī añkhiyāñ
tirā har uzv pyāre ḳhush-numā hai uzv-e-dīgar siiñ
mizha siiñ ḳhūb-tar abrū va abrū siiñ bhalī añkhiyāñ
tahayyur ke phañde meñ said ho kar chaukḌī bhūle
agar aahū kuuñ dikhlā.ūñ sajan kī achpalī añkhiyāñ
huī fānūs gardūñ ke siyah kājal suuñ sar-tā-pā
shab-e-hijrāñ meñ terī sham.a ho yaañ lag jalī añkhiyāñ
zabāñ kar apne mizhgāñ kuuñ lagī haiñ reḳhte paḌhne
huī haiñ 'ābrū' ke vasf meñ terī valī añkhiyāñ
Top Urdushayar.com