Abroo Shah Mubarak

baDhe hai din-ba-din tujh mukh ki tab aahista aahista

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
baḌhe hai din-ba-din tujh mukh kī taab āhista āhista
ki juuñ kar garm ho hai āftāb āhista āhista
kiyā ḳhat neñ tire mukh kuuñ ḳharāb āhista āhista
gahan juuñ maah kuuñ letā hai daab āhista āhista
lagā hai aap siiñ ai jaañ tire āshiq kā dil rah rah
kare hai mast kuuñ be-ḳhud sharāb āhista āhista
dil āshiq kā kalī kī tarah khiltā jaa.e ḳhush ho ho
adā siiñ jab kabhī khole naqāb āhista āhista
lagā hai 'ābrū' mujh kuuñ 'valī' kā ḳhuub ye misrā
savāl āhista āhista javāb āhista āhista
Top Urdushayar.com