shāyad  mire  badan  kī  rusvā.ī  chāhtā  hai
darvāza  mere  ghar  kā  bīnā.ī  chāhtā  hai
auqāt-e-zabt  us  ko  ai  chashm-e-tar  batā  de
ye  dil  samundaroñ  kī  gahrā.ī  chāhtā  hai
shahroñ  meñ  vo  ghuTan  hai  is  daur  meñ  ki  insāñ
gumnām  jañgaloñ  kī  purvā.ī  chāhtā  hai
kuchh  zalzale  samo  kar  zanjīr  kī  khanak  meñ
ik  raqs-e-vālehāna  saudā.ī  chāhtā  hai
kuchh  is  liye  bhī  apne  charche  haiñ  shahr  bhar  meñ
ik  pārsā  hamārī  rusvā.ī  chāhtā  hai
har  shaḳhs  kī  jabīñ  par  karte  haiñ  raqs  taare
har  shaḳhs  zindagī  kī  ra.anā.ī  chāhtā  hai
ab  chhoḌ  saath  merā  ai  yād-e-nau-javānī
is  umr  kā  musāfir  tanhā.ī  chāhtā  hai
maiñ  jab  'qatīl'  apnā  sab  kuchh  luTā  chukā  huuñ
ab  merā  pyaar  mujh  se  dānā.ī  chāhtā  hai