mil  kar  judā  hue  to  na  soyā  kareñge  ham
ik  dūsre  kī  yaad  meñ  royā  kareñge  ham
aañsū  jhalak  jhalak  ke  satā.eñge  raat  bhar
motī  palak  palak  meñ  piroyā  kareñge  ham
jab  dūriyoñ  kī  aag  diloñ  ko  jalā.egī
jismoñ  ko  chāñdnī  meñ  bhigoyā  kareñge  ham
bin  kar  har  ek  bazm  kā  mauzū-e-guftugū
sheroñ  meñ  tere  ġham  ko  samoyā  kareñge  ham
majbūriyoñ  ke  zahr  se  kar  leñge  ḳhud-kushī
ye  buzdilī  kā  jurm  bhī  goyā  kareñge  ham
dil  jal  rahā  hai  zard  shajar  dekh  dekh  kar
ab  chāhatoñ  ke  biij  na  boyā  kareñge  ham
gar  de  gayā  daġhā  hameñ  tūfān  bhī  'qatīl'
sāhil  pe  kashtiyoñ  ko  Duboyā  kareñge  ham