apnī  hī  āvāz  ko  be-shak  kaan  meñ  rakhnā
lekin  shahar  kī  ḳhāmoshī  bhī  dhyān  meñ  rakhnā
mere  jhuuT  ko  kholo  bhī  aur  tolo  bhī  tum
lekin  apne  sach  ko  bhī  mīzān  meñ  rakhnā
kal  tārīḳh  yaqīnan  ḳhud  ko  dohrā.egī
aaj  ke  ik  ik  manzar  ko  pahchān  meñ  rakhnā
bazm  meñ  yāroñ  kī  shamshīr  lahū  meñ  tar  hai
razm  meñ  lekin  talvār  ko  miyān  meñ  rakhnā
aaj  to  ai  dil  tark-e-ta.alluq  par  tum  ḳhush  ho
kal  ke  pachhtāve  ko  bhī  imkān  meñ  rakhnā
us  dariyā  se  aage  ek  samundar  bhī  hai
aur  vo  be-sāhil  hai  ye  bhī  dhyān  meñ  rakhnā
is  mausam  meñ  gul-dānoñ  kī  rasm  kahāñ  hai
logo  ab  phūloñ  ko  ātish-dān  meñ  rakhnā