Ahmad Faraz

taDap uThun bhi to zalim teri duhai na dun

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008

taḌap uThūñ bhī to zālim tirī duhā.ī na duuñ

maiñ zaḳhm zaḳhm huuñ phir bhī tujhe dikhā.ī na duuñ

tire badan meñ dhaḌakne lagā huuñ dil tarah

ye aur baat ki ab bhī tujhe sunā.ī na duuñ

ḳhud apne aap ko parkhā to ye nadāmat hai

ki ab kabhī use ilzām-e-bevafā.ī na duuñ

mirī baqā mirī ḳhvāhish-e-gunāh meñ hai

maiñ zindagī ko kabhī zahr-e-pārsā.ī na duuñ

jo Than ga.ī hai to yaarī pe harf kyuuñ aa.e

harīf-e-jāñ ko kabhī tān-e-āshnā.ī na duuñ

mujhe bhī DhūñD kabhī mahv-e-ā.ina-dārī

maiñ terā aks huuñ lekin tujhe dikhā.ī na duuñ

ye hausla bhī baḌī baat hai shikast ke ba.ad

ki dūsroñ ko to ilzām-e-nā-rasā.ī na duuñ

'farāz' daulat-e-dil hai matā-e-mahrūmī

maiñ jām-e-jam ke evaz kāsa-e-gadā.ī na duuñ

Top Urdushayar.com