Ahmad Faraz

us manzar-e-sada mein kai jal bandhe the

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008

us manzar-e-sāda meñ ka.ī jaal bañdhe the

jab us garebān khulā baal bañdhe the

ai zūd-farāmosh kahāñ hai ki tujh se

mere to shab-o-roz mah-o-sāl bañdhe the

vo rashk-e-ġhazālāñ thā magar daam meñ us ke

ham jaise ka.ī said-e-zabūñ-hāl bañdhe the

dekhe koī nāseh jo hālat hai ki ham to

us but mohabbat meñ bahar-hāl bañdhe the

sayyād ko phir bhī mirī parvāz Dar thā

maiñ garche qafas meñ thā par-o-bāl bañdhe the

yuuñ dil tah-o-bālā kabhī hote nahīñ dekhe

ik shaḳhs ke paañv se to bhauñchāl bañdhe the

vaqt aayā to maiñ maqtal-e-jāñ meñ thā akelā

yāroñ girah meñ faqat aqvāl bañdhe the

Top Urdushayar.com