Ahmad Faraz

tera qurb tha ki firaq tha wahi teri jalwagari rahi

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
tirā qurb thā ki firāq thā vahī terī jalvagarī rahī
ki jo raushnī tire jism kī thī mire badan meñ bharī rahī
tire shahr meñ maiñ chalā thā jab to koī bhī saath na thā mire
to maiñ kis se mahv-e-kalām thā to ye kis kī ham-safarī rahī
mujhe apne aap pe maan thā ki na jab talak tirā dhyān thā
tū misāl thī mirī āgahī tū kamāl-e-be-ḳhabarī rahī
mire āshnā bhī ajiib the na rafīq the na raqīb the
mujhe jaañ se dard aziiz thā unheñ fikr-e-chāragarī rahī
maiñ ye jāntā thā mirā hunar hai shikast-o-reḳht se mo'tabar
jahāñ log sañg-ba-dast the vahīñ merī shīshagarī rahī
jahāñ nāsehoñ kā hujūm thā vahīñ āshiqoñ kī bhī dhuum thī
jahāñ baḳhiya-gar the galī galī vahīñ rasm-e-jāma-darī rahī
tire paas aa ke bhī jaane kyuuñ mirī tishnagī meñ hirās thā
ba-misāl-e-chashm-e-ġhazāl jo lab-e-ābjū bhī Darī rahī
jo havas farosh the shahr ke sabhī maal bech ke jā chuke
magar ek jins-e-vafā mirī sar-e-rah dharī kī dharī rahī
mire nāqidoñ ne farāz jab mirā harf harf parakh liyā
to kahā ki ahd-e-riyā meñ bhī jo baat kharī thī kharī rahī
Top Urdushayar.com