Ahmad Faraz

nauhagaron mein dida-e-tar bhi usi ka tha

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008

nauhagaroñ meñ dīda-e-tar bhī usī thā

mujh par ye zulm bār-e-digar bhī usī thā

dekhā mujhe to tark-e-ta.alluq ke bāvajūd

vo muskurā diyā ye hunar bhī usī thā

āñkheñ kushād-o-bast se badnām ho ga.iiñ

sūraj usī ḳhvāb-e-sahar bhī usī thā

ḳhanjar-dar-āstīñ milā jab kabhī milā

vo teġh khīñchtā to ye sar bhī usī thā

nishtar chubhe hue the rag-e-jāñ ke ās-pās

vo chāragar thā aur mujhe Dar bhī usī thā

mahfil meñ kal 'farāz' shāyad thā lab-kushā

maqtal meñ aaj kāsa-e-sar bhī usī thā

Top Urdushayar.com