Ahmad Faraz

nahin ki nama-baron ko talash karte hain

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
nahīñ ki nāma-baroñ ko talāsh karte haiñ
ham apne be-ḳhabroñ ko talāsh karte haiñ
mohabbatoñ kā bhī mausam hai jab guzar jaa.e
sab apne apne gharoñ ko talāsh karte haiñ
sunā hai kal jinheñ dastār-e-iftiḳhār milī
vo aaj apne saroñ ko talāsh karte haiñ
ye ishq kyā hai ki iz.hār-e-ārzū ke liye
harīf nauhagaroñ ko talāsh karte haiñ
ye ham jo DhūñDte phirte haiñ qatl-gāhoñ ko
dar-asl chāragaroñ ko talāsh karte haiñ
rihā hue pa ajab haal hai asīroñ kā
ki ab vo apne paroñ ko talāsh karte haiñ
'farāz' daad ke qābil hai justujū un kī
jo ham se dar-badaroñ ko talāsh karte haiñ
Top Urdushayar.com