Ahmad Faraz

aashiqi mein mir jaise KHwab mat dekha karo

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
āshiqī meñ 'mīr' jaise ḳhvāb mat dekhā karo
bāvle ho jāoge mahtāb mat dekhā karo
jasta jasta paḌh liyā karnā mazāmīn-e-vafā
par kitāb-e-ishq kā har baab mat dekhā karo
is tamāshe meñ ulaT jaatī haiñ aksar kashtiyāñ
Dūbne vāloñ ko zer-e-āb mat dekhā karo
mai-kade meñ kyā takalluf mai-kashī meñ kyā hijāb
bazm-e-sāqī meñ adab ādāb mat dekhā karo
ham se durveshoñ ke ghar aao to yāroñ kī tarah
har jagah ḳhas-ḳhāna o barfāb mat dekhā karo
māñge-tāñge kī qabā.eñ der tak rahtī nahīñ
yaar logoñ ke laqab-alqāb mat dekhā karo
tishnagī meñ lab bhigo lenā bhī kaafī hai 'farāz'
jaam meñ sahbā hai yā zahrāb mat dekhā karo
Top Urdushayar.com