Ahmad Faraz

sukut-e-sham-e-KHizan hai qarib aa jao

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
sukūt-e-shām-e-ḳhizāñ hai qarīb aa jaao
baḌā udaas samāñ hai qarīb aa jaao
na tum ko ḳhud pe bharosa na ham ko zom-e-vafā
na e'tibār-e-jahāñ hai qarīb aa jaao
rah-e-talab meñ kisī ko kisī kā dhyān nahīñ
hujūm-e-ham-safarāñ hai qarīb aa jaao
jo dasht-e-ishq meñ bichhḌe vo umr bhar na mile
yahāñ dhuāñ hī dhuāñ hai qarīb aa jaao
ye āñdhiyāñ haiñ to shahr-e-vafā kī ḳhair nahīñ
zamāna ḳhāk-fishāñ hai qarīb aa jaao
faqīh-e-shahr kī majlis nahīñ ki duur raho
ye bazm-e-pīr-e-muġhāñ hai qarīb aa jaao
'farāz' duur ke sūraj ġhurūb samjhe ga.e
ye daur-e-kam-nazarāñ hai qarīb aa jaao
Top Urdushayar.com