sab  qarīne  usī  dildār  ke  rakh  dete  haiñ
ham  ġhazal  meñ  bhī  hunar  yaar  ke  rakh  dete  haiñ
shāyad  aa  jaa.eñ  kabhī  chashm-e-ḳharīdār  meñ  ham
jaan  o  dil  biich  meñ  bāzār  ke  rakh  dete  haiñ
taaki  ta.ana  na  mile  ham  ko  tunuk-zarfī  kā
ham  qadah  sāmne  aġhyār  ke  rakh  dete  haiñ
ab  kise  ranj-e-asīrī  ki  qafas  meñ  sayyād
saare  manzar  gul-o-gulzār  ke  rakh  dete  haiñ
zikr-e-jānāñ  meñ  ye  duniyā  ko  kahāñ  le  aa.e
log  kyuuñ  mas.ale  bekār  ke  rakh  dete  haiñ
vaqt  vo  rañg  dikhātā  hai  ki  ahl-e-dil  bhī
tāq-e-nisyāñ  pe  suḳhan  yaar  ke  rakh  dete  haiñ
zindagī  terī  amānat  hai  magar  kyā  kiije
log  ye  bojh  bhī  thak-hār  ke  rakh  dete  haiñ
ham  to  chāhat  meñ  bhī  'ġhālib'  ke  muqallid  haiñ  'farāz'
jis  pe  marte  haiñ  use  maar  ke  rakh  dete  haiñ