Ahmad Faraz

tere hote hue mahfil mein jalate hain charagh

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
tere hote hue mahfil meñ jalāte haiñ charāġh
log kyā saada haiñ sūraj ko dikhāte haiñ charāġh
apnī mahrūmī ke ehsās se sharminda haiñ
ḳhud nahīñ rakhte to auroñ ke bujhāte haiñ charāġh
bastiyāñ duur huī jaatī haiñ rafta rafta
dam-ba-dam āñkhoñ se chhupte chale jaate haiñ charāġh
kyā ḳhabar un ko ki dāman bhī bhaḌak uThte haiñ
jo zamāne kī havāoñ se bachāte haiñ charāġh
go siyah-baḳht haiñ ham log pe raushan hai zamīr
ḳhud añdhere meñ haiñ duniyā ko dikhāte haiñ charāġh
bastiyāñ chāñd sitāroñ kī basāne vaalo
kurra-e-arz pe bujhte chale jaate haiñ charāġh
aise bedard hue ham bhī ki ab gulshan par
barq girtī hai to zindāñ meñ jalāte haiñ charāġh
aisī tārīkiyāñ āñkhoñ meñ basī haiñ ki 'farāz'
raat to raat hai ham din ko jalāte haiñ charāġh
Top Urdushayar.com