Ahmad Faraz

na tera qurb na baada hai kya kiya jae

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
na terā qurb na baada hai kyā kiyā jaa.e
phir aaj dukh bhī ziyāda hai kyā kiyā jaa.e
hameñ bhī arz-e-tamannā kā Dhab nahīñ aatā
mizāj-e-yār bhī saada hai kyā kiyā jaa.e
kuchh apne dost bhī tarkash-ba-dosh phirte haiñ
kuchh apnā dil bhī kushāda hai kyā kiyā jaa.e
vo mehrbāñ hai magar dil kī hirs bhī kam ho
talab karam se ziyāda hai kyā kiyā jaa.e
na us se tark-e-ta.alluq kī baat kar paa.eñ
na hamdamī kā irāda hai kyā kiyā jaa.e
sulūk-e-yār se dil Dūbne lagā hai 'farāz'
magar ye mahfil-e-ādā hai kyā kiyā jaa.e
Top Urdushayar.com