huī  hai  shaam  to  āñkhoñ  meñ  bas  gayā  phir  tū
kahāñ  gayā  hai  mire  shahr  ke  musāfir  tū
mirī  misāl  ki  ik  naḳhl-e-ḳhushk-e-sahrā  huuñ
tirā  ḳhayāl  ki  shāḳh-e-chaman  kā  taa.ir  tū
maiñ  jāntā  huuñ  ki  duniyā  tujhe  badal  degī
maiñ  māntā  huuñ  ki  aisā  nahīñ  ba-zāhir  tū
hañsī-ḳhushī  se  bichhaḌ  jā  agar  bichhaḌnā  hai
ye  har  maqām  pe  kyā  sochtā  hai  āḳhir  tū
fazā  udaas  hai  rut  muzmahil  hai  maiñ  chup  huuñ
jo  ho  sake  to  chalā  aa  kisī  kī  ḳhātir  tū
'farāz'  tū  ne  use  mushkiloñ  meñ  Daal  diyā
zamāna  sāhab-e-zar  aur  sirf  shā.er  tū