Ahmad Faraz

kashida sar se tawaqqoa abas jhukaw ki thi

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
kashīda sar se tavaqqo.a abas jhukāv kī thī
bigaḌ gayā huuñ ki sūrat yahī banāv kī thī
vo jis ghamanD se bichhḌā gila to is kā hai
ki saarī baat mohabbat meñ rakh-rakhāv kī thī
vo mujh se pyaar na kartā to aur kyā kartā
ki dushmanī meñ bhī shiddat isī lagāv kī thī
magar ye dard-e-talab bhī sarāb hī niklā
vafā kī lahr bhī jazbāt ke bahāv kī thī
akele paar utar kar ye nāḳhudā ne kahā
musāfiro yahī qismat shikasta naav kī thī
charāġh-e-jāñ ko kahāñ tak bachā ke ham rakhte
havā bhī tez thī manzil bhī chal-chalāv kī thī
maiñ zindagī se nabard-āzmā rahā huuñ 'farāz'
maiñ jāntā thā yahī raah ik bachāv kī thī
Top Urdushayar.com