karūñ  na  yaad  magar  kis  tarah  bhulā.ūñ  use
ġhazal  bahāna  karūñ  aur  gungunā.ūñ  use
vo  ḳhaar  ḳhaar  hai  shāḳh-e-gulāb  kī  mānind
maiñ  zaḳhm  zaḳhm  huuñ  phir  bhī  gale  lagā.ūñ  use
ye  log  tazkire  karte  haiñ  apne  logoñ  ke
maiñ  kaise  baat  karūñ  ab  kahāñ  se  lā.ūñ  use
magar  vo  zūd-farāmosh  zūd-ranj  bhī  hai
ki  ruuTh  jaa.e  agar  yaad  kuchh  dilā.ūñ  use
vahī  jo  daulat-e-dil  hai  vahī  jo  rāhat-e-jāñ
tumhārī  baat  pe  ai  nāseho  gañvā.ūñ  use
jo  ham-safar  sar-e-manzil  bichhaḌ  rahā  hai  'farāz'
ajab  nahīñ  hai  agar  yaad  bhī  na  aa.uuñ  use