Qateel Shifai

raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001

raqs karne milā hukm jo dariyāoñ meñ

ham ne ḳhush ho ke bhañvar bāñdh liye paañv meñ

un ko bhī hai kisī bhīge hue manzar talāsh

buuñd tak bhī na bo sake jo kabhī sahrāoñ meñ

a mire ham-safaro tum bhī thake-hāre ho

dhuup tum to milāvaT na karo chhāñv meñ

jo bhī aatā hai batātā hai nayā koī ilaaj

baT na jaa.e tirā bīmār masīhāoñ meñ

hausla kis meñ hai yūsuf ḳharīdārī

ab to mahñgā.ī ke charche haiñ zuleḳhāoñ meñ

jis barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai

us ko dafnāo mire haath rekhāoñ meñ

vo ḳhudā hai kisī TuuTe hue dil meñ hogā

masjidoñ meñ use DhūñDo na kalīsāoñ meñ

ham ko aapas meñ mohabbat nahīñ karne dete

ik yahī aib hai is shahr ke dānāoñ meñ

mujh se karte haiñ 'qatīl' is liye kuchh log hasad

kyuuñ mire sher haiñ maqbūl hasīnāoñ meñ

Top Urdushayar.com