Qateel Shifai

pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
pareshāñ raat saarī hai sitāro tum to so jaao
sukūt-e-marg taarī hai sitāro tum to so jaao
hañso aur hañste hañste Dūbte jaao ḳhalāoñ meñ
hamīñ pe raat bhārī hai sitāro tum to so jaao
hameñ to aaj kī shab pau phaTe tak jāgnā hogā
yahī qismat hamārī hai sitāro tum to so jaao
tumheñ kyā aaj bhī koī agar milne nahīñ aayā
ye baazī ham ne haarī hai sitāro tum to so jaao
kahe jaate ho ro ro kar hamārā haal duniyā se
ye kaisī rāzdārī hai sitāro tum to so jaao
hameñ bhī niiñd aa jā.egī ham bhī so hī jā.eñge
abhī kuchh be-qarārī hai sitāro tum to so jaao
Top Urdushayar.com