Farhat Shahzad

do jhuki aankhon ka pahuncha jab mere dil ko salam

Farhat Shahzad

Pakistan

do jhukī āñkhoñ pahuñchā jab mire dil ko salām

yuuñ lagā hai dopahar meñ jaise dar aa.ī ho shaam

us ke hoñToñ kiyā jab zikr mere sher ne

har samā.at ke laboñ se lagā labrez jaam

jaise sajde meñ koī gir kar na uTThe der tak

yuuñ girī āñkhoñ pe palkeñ sun ke ik kāfir naam

dukh kisī ho use dhaḌkan meñ apnī sīñch le

kis ne sauñpā hai mire dil ko ye pāgal-pan kaam

ab to meñ hai ki har dukh par lagā.ūñ qahqaha

ho ga.ī haiñ shahr meñ āñsū-bharī āñkheñ to aam

harf jaise ho ga.e saare munāfiq ek dam

kaun se lafzoñ meñ samjhā.ūñ tumheñ dil payām

is qadar jaldī bhī kyā 'shahzād' thī āḳhir batā

kyā bigaḌtā saath gar aur chaltā chand gaam

Top Urdushayar.com