Farhat Shahzad

ye zamin KHwab hai aasman KHwab hai

Farhat Shahzad

Pakistan

ye zamīñ ḳhvāb hai āsmāñ ḳhvāb hai
ik makāñ hī nahīñ lā-makāñ ḳhvāb hai
jān-levā sahī justujū kī thakan
par sahārā diye ik javāñ ḳhvāb hai
us kī āñkhoñ meñ apnā.iyat kī chamak
merī āñkhoñ kā ik be-amāñ ḳhvāb hai
TuuT jaa.e to kuchh bhī nahīñ koī bhī
jis ke dam se haiñ donoñ jahāñ ḳhvāb hai
chilchilātī huī vaqt kī dhuup meñ
saath ik sāya-e-mehrbāñ ḳhvāb hai
tū sarāb-e-hasīñ maiñ fareb-e-nazar
pyaar terā mirī jān-e-jāñ ḳhvāb hai
shādī-e-be-panah kā sabab hai magar
vaj.h-e-āh-o-fuġhāñ bhī miyāñ ḳhvāb hai
zindagī ke kaThin jañgaloñ meñ mirā
har qadam rāhbar pāsbāñ ḳhvāb hai
jān-e-'shahzād' tanhā.iyāñ haiñ aTal
aur baaqī kā ye kārvāñ ḳhvāb hai
Top Urdushayar.com