Hasan Aziz

KHud par koi tufan guzar jaane ke Dar se

Hasan Aziz

ḳhud par koī tūfān guzar jaane ke Dar se
maiñ band huuñ kamre meñ bikhar jaane ke Dar se
ye log mujhe ḳhuun kā tājir na samajh leñ
maiñ teġh liye phirtā huuñ sar jaane ke Dar se
har saa.e pe aahaT pe nazar rakhtā huuñ shab bhar
bistar pe nahīñ jaatā huuñ Dar jaane ke Dar se
maiñ TūTne detā nahīñ rañgoñ kā tasalsul
zaḳhmoñ ko harā kartā huuñ bhar jaane ke Dar se
vo maañ kī mohabbat kī bulandī thī ki us ne
zinda hī na chhoḌā mujhe mar jaane ke Dar se
kuchh jiit meñ bhī fā.eda hotā nahīñ phir bhī
vo jañg nahīñ hārtā harjāne ke Dar se
afsurda 'hasan' haiñ mire lashkar ke sipāhī
us tak mire zaḳhmoñ kī ḳhabar jaane ke Dar se
Top Urdushayar.com