Rakhshan Hashmi

tumhein ab yaad aai hai meri kya

Rakhshan Hashmi

Munger, Bihar, India

tumheñ ab yaad aa.ī hai mirī kyā
Thikāne lag ga.ī āvārgī kyā
charāġhoñ ko bujhāte phir rahe ho
tumhārā mas.ala hai raushnī kyā
tumhī shāmil nahīñ jab zindagī meñ
bhalā ham kyā hamārī zindagī kyā
tumhārā tajraba kyā kah rahā hai
karoge phir kisī se dostī kyā
isī duniyā meñ tum ho aur maiñ bhī
to ab mumkin nahīñ hai vāpsī kyā
ḳhudā maane hue ho ek but ko
karoge ab usī kī bandagī kyā
nazar rakhte ho chūzoñ par hamesha
tumhārī bhī nazar hai chiil sī kyā
muqaddar so rahā hai jaane kab se
use ghere hue hai nīstī kyā
izāfa ho rahā hai dushmanoñ meñ
musībat ban rahī hai shā.irī kyā
fasīleñ toḌ kar niklī ho ghar se
tumheñ karnā hai 'raḳhshāñ' ḳhud-kushī kyā
Top Urdushayar.com