Rakhshan Hashmi

ja nahin sakti jidhar jaane ko ji chahta hai

Rakhshan Hashmi

Munger, Bihar, India

nahīñ saktī jidhar jaane ko chāhtā hai

in dinoñ yuuñ hai ki mar jaane ko chāhtā hai

ghar meñ rahtī huuñ to bāhar havā khīñchtī hai

ghar se jab niklūñ to ghar jaane ko chāhtā hai

maiñ ne kab bāñdh ke rakhā hai tumheñ pallū se

tum chale jaao agar jaane ko chāhtā hai

ahd to thā ki na toḌūngī maiñ hadd-e-fāsil

aaj va.ade se mukar jaane ko chāhtā hai

terī āñkhoñ meñ to rahte hue ik umr huī

ab tire dil meñ utar jaane ko chāhtā hai

muddatoñ baad tirā qurb milā hai mujh ko

aaj har had se guzar jaane ko chāhtā hai

barq-raftār guzartī huuñ vahīñ se 'raḳhshāñ'

jis jagah merā Thahar jaane ko chāhtā hai

Top Urdushayar.com