apnī  hālat  pe  aañsū  bahāne  lage
sard  rātoñ  meñ  ḳhud  ko  jagāne  lage
surḳh  tāroñ  ke  hamrāh  kar  ke  safar
ḳhvāb-zāroñ  se  kyuuñ  aage  jaane  lage
duur  bajne  lagī  hai  kahīñ  bāñsurī
ham  bhī  zindān  meñ  giit  gaane  lage
jo  basārat  basīrat  se  mahrūm  haiñ
shahr  ke  ā.inoñ  ko  sajāne  lage
ham  ne  jab  hāl-e-dil  un  se  apnā  kahā
vo  bhī  qissa  kisī  kā  sunāne  lage
nīstī  kā  sitam  koī  kam  thā  jo  tum
apnī  hastī  kā  dukh  bhī  manāne  lage
jab  bujhī  merī  āñkhoñ  kī  lau  'āsima'
tiira  manzar  bhī  jalva  dikhāne  lage