Qateel Shifai

ye kis ne kaha tum kuch karo baaten na banao insha-ji

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
ye kis ne kahā tum kuuch karo bāteñ na banāo inshā-jī
ye shahr tumhārā apnā hai ise chhoḌ na jaao inshā-jī
jitne bhī yahāñ ke baasī haiñ sab ke sab tum se pyaar kareñ
kyā un se bhī muñh pheroge ye zulm na Dhaao inshā-jī
kyā soch ke tum ne sīñchī thī ye kesar kyārī chāhat kī
tum jin ko hañsāne aa.e the un ko na rulāo inshā-jī
tum laakh siyāhat ke ho dhanī ik baat hamārī bhī maano
koī jā ke jahāñ se aatā nahīñ us des na jaao inshā-jī
bikhrāte ho sonā harfoñ kā tum chāñdī jaise kāġhaz par
phir in meñ apne zaḳhmoñ kā mat zahr milāo inshā-jī
ik raat to kyā vo hashr talak rakkhegī khulā darvāze ko
kab lauT ke tum ghar aaoge sajnī ko batāo inshā-jī
nahīñ sirf 'qatīl' kī baat yahāñ kahīñ 'sāhir' hai kahīñ 'ālī' hai
tum apne purāne yāroñ se dāman na chuḌāo inshā-jī
Top Urdushayar.com