Irfan Siddiqi

KHatm ho jang KHarabe pe hukumat ki jae

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
ḳhatm ho jañg ḳharābe pe hukūmat kī jaa.e
āḳhirī māraka-e-sabr hai ujlat kī jaa.e
ham na zanjīr ke qābil haiñ na jāgīr ke ahl
ham se inkār kiyā jaa.e na bai.at kī jaa.e
mamlikat aur koī ba.ad meñ arzānī ho
pahle merī hī zamīñ mujh ko ināyat kī jaa.e
yā kiyā jaa.e mujhe ḳhush-nazarī se āzād
yā isī dasht meñ paidā koī sūrat kī jaa.e
ham abas dekhte haiñ ġhurfa-e-ḳhālī kī taraf
ye bhī kyā koī tamāshā hai ki hairat kī jaa.e
ghar bhī rahiye to chale aate haiñ milne ko ġhazāl
kaahe ko bādiya-paimā.ī kī zahmat kī jaa.e
apnī tahrīr to jo kuchh hai so ā.īna hai
ramz-e-tahrīr magar kaise hikāyat kī jaa.e
Top Urdushayar.com