ab  ke  sahrā  meñ  ajab  bārish  kī  arzānī  huī
fasl-e-imkāñ  ko  numū  karne  meñ  āsānī  huī
pyaas  ne  āb-e-ravāñ  ko  kar  diyā  mauj-e-sarāb
ye  tamāshā  dekh  kar  dariyā  ko  hairānī  huī
sar  se  saare  ḳhvān  ḳhushbū  ke  bikhar  kar  rah  ga.e
ḳhāk-e-ḳhema  tak  havā  pahuñchī  to  dīvānī  huī
duur  tak  uḌne  lagī  gard-e-sadā  zanjīr  kī
kis  qadar  dīvār-e-zindāñ  ko  pashemānī  huī
tum  hī  sadiyoñ  se  ye  nahreñ  band  karte  aa.e  ho
mujh  ko  lagtī  hai  tumhārī  shakl  pahchānī  huī