zehn  ho  tañg  to  phir  shoḳhī-e-afkār  na  rakh
band  tah-ḳhānoñ  meñ  ye  daulat-e-bedār  na  rakh
zaḳhm  khānā  hī  jo  Thahrā  to  badan  terā  hai
ḳhauf  kā  naam  magar  lazzat-e-āzār  na  rakh
ek  hī  chiiz  ko  rahnā  hai  salāmat  pyāre
ab  jo  sar  shānoñ  pe  rakkhā  hai  to  dīvār  na  rakh
ḳhvāhisheñ  toḌ  na  Dāleñ  tire  siine  kā  qafas
itne  shah-zor  parindoñ  ko  giraftār  na  rakh
ab  maiñ  chup  huñ  to  mujhe  apnī  dalīloñ  se  na  kaaT
merī  TuuTī  huī  talvār  pe  talvār  na  rakh
aaj  se  dil  bhī  tire  haal  meñ  hotā  hai  sharīk
le  ye  hasrat  bhī  mirī  chashm-e-gunahgār  na  rakh
vaqt  phir  jaane  kahāñ  us  se  milā  de  tujh  ko
is  qadar  tark-e-mulāqāt  kā  pindār  na  rakh