unhīñ  kī  shah  se  unheñ  maat  kartā  rahtā  huuñ
sitamgaroñ  kī  mudārāt  kartā  rahtā  huuñ
yahāñ  koī  nahīñ  suntā  hadis-e-dil-zadagāñ
magar  maiñ  aur  tarah  baat  kartā  rahtā  huuñ
bhalā  ye  umr  koī  kārobār-e-shauq  kī  hai
bas  ik  talāfi-e-māfāt  kartā  rahtā  huuñ
ye  kā.enāt  mire  bāl-o-par  ke  bas  kī  nahīñ
to  kyā  karūñ  safar-e-zāt  kartā  rahtā  huuñ
yahīñ  pe  vār-e-harīfāñ  uThānā  paḌtā  hai
yahīñ  hisāb-e-musāvāt  kartā  rahtā  huuñ
ajab  nahīñ  kisī  koshish  meñ  kāmrāñ  ho  jā.ūñ
mohabbatoñ  kī  shurūāt  kartā  rahtā  huuñ
hamesha  kāsa-e-ḳhālī  chhalaktā  rahtā  hai
faqīr  huuñ  so  karāmāt  kartā  rahtā  huuñ