zarā  sā  vaqt  kahīñ  be-sabab  guzārte  haiñ
chalo  ye  shaam  sar-e-jū-e-lab  guzārte  haiñ
tū  ik  charāġh-e-jahān-e-digar  hai  kyā  jaane
ham  is  zamīn  pe  kis  tarah  shab  guzārte  haiñ
hamārā  ishq  hī  kyā  hai  guzārne  vaale
yahāñ  to  nazr  meñ  naam  o  nasab  guzārte  haiñ
ḳhirāj  maañg  rahī  hai  vo  shāh-bānu-e-shahr
so  ham  bhī  hadiya-e-dast-e-talab  guzārte  haiñ
sunā  to  hogā  ki  jañgal  meñ  mor  nāchtā  hai
ham  is  ḳharābe  meñ  fasl-e-tarab  guzārte  haiñ