Qateel Shifai

haalat ke qadmon pe qalandar nahin girta

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001

hālāt ke qadmoñ pe qalandar nahīñ girtā

TuuTe bhī jo taarā to zamīñ par nahīñ girtā

girte haiñ samundar meñ baḌe shauq se dariyā

lekin kisī dariyā meñ samundar nahīñ girtā

samjho vahāñ phaldār shajar koī nahīñ hai

vo sahn ki jis meñ koī patthar nahīñ girtā

itnā to huā fā.eda bārish kamī

is shahr meñ ab koī phisal kar nahīñ girtā

in.aam ke lālach meñ likhe mad.h kisī

itnā to kabhī koī suḳhan-var nahīñ girtā

hairāñ hai ka.ī roz se Thahrā huā paanī

tālāb meñ ab kyuuñ koī kañkar nahīñ girtā

us banda-e-ḳhuddār pe nabiyoñ hai saaya

jo bhuuk meñ bhī luqma-e-tar par nahīñ girtā

karnā hai jo sar ma.arka-e-zīst to sun le

be-bāzū-e-haidar dar-e-ḳhaibar nahīñ girtā

qaa.em hai 'qatīl' ab ye mire sar ke sutūñ par

bhauñchāl bhī aa.e to mirā ghar nahīñ girtā

Top Urdushayar.com