kahīñ  to  luTnā  hai  phir  naqd-e-jāñ  bachānā  kyā
ab  aa  ga.e  haiñ  to  maqtal  se  bach  ke  jaanā  kyā
in  āñdhiyoñ  meñ  bhalā  kaun  idhar  se  guzregā
darīche  kholnā  kaisā  diye  jalānā  kyā
jo  tiir  būḌhoñ  kī  fariyād  tak  nahīñ  sunte
to  un  ke  sāmne  bachchoñ  kā  muskurānā  kyā
maiñ  gir  gayā  huuñ  to  ab  siine  se  utar  aao
diler  dushmano  TuuTe  makāñ  ko  Dhānā  kyā
na.ī  zamīñ  kī  havā.eñ  bhī  jān-levā  haiñ
na  lauTne  ke  liye  kashtiyāñ  jalānā  kyā
kanār-e-āb  khaḌī  khetiyāñ  ye  sochtī  haiñ
vo  narm-rau  hai  nadī  kā  magar  Thikānā  kyā