muravvatoñ  pe  vafā  kā  gumāñ  bhī  rakhtā  thā
vo  aadmī  thā  ġhalat-fahmiyāñ  bhī  rakhtā  thā
bahut  dinoñ  meñ  ye  bādal  idhar  se  guzrā  hai
mirā  makān  kabhī  sā.ebāñ  bhī  rakhtā  thā
ajiib  shaḳhs  thā  bachtā  bhī  thā  havādis  se
phir  apne  jism  pe  ilzām-e-jāñ  bhī  rakhtā  thā
Dubo  diyā  hai  to  ab  is  kā  kyā  gila  kiije
yahī  bahāo  safīne  ravāñ  bhī  rakhtā  thā
tū  ye  na  dekh  ki  sab  Tahniyāñ  salāmat  haiñ
ki  ye  daraḳht  thā  aur  pattiyāñ  bhī  rakhtā  thā
har  ek  zarra  thā  gardish  meñ  āsmāñ  kī  tarah
maiñ  apnā  paañv  zamīñ  par  jahāñ  bhī  rakhtā  thā
lipaT  bhī  jaatā  thā  aksar  vo  mere  siine  se
aur  ek  fāsla  sā  darmiyāñ  bhī  rakhtā  thā