kuchh  harf  o  suḳhan  pahle  to  aḳhbār  meñ  aayā
phir  ishq  mirā  kūcha  o  bāzār  meñ  aayā
ab  āḳhir-e-shab  dard  kā  bhaTkā  huā  rahvār
aayā  bhī  to  shahr-e-lab-o-ruḳhsār  meñ  aayā
kyā  naqsh  huā  dil  ke  andhere  meñ  numūdār
kyā  rozan-e-raushan  mirī  dīvār  meñ  aayā
hairāñ  huuñ  ki  phir  us  ne  na  kī  sabr  kī  tākīd
baazū  jo  mirā  bāzu-e-dildār  meñ  aayā
ye  ā.ina-guftār  koī  aur  hai  mujh  meñ
sochā  bhī  na  thā  maiñ  ne  jo  iz.hār  meñ  aayā
hāsil  na  huā  mujh  ko  vo  mahtāb  to  mābūd
kyā  farq  tire  sābit  o  sayyār  meñ  aayā