sar-e-taslīm  hai  ḳham  izn-e-uqūbat  ke  baġhair
ham  to  sarkār  ke  maddāh  haiñ  ḳhil.at  ke  baġhair
sar-barahna  huuñ  to  kyā  ġham  hai  ki  ab  shahr  meñ  log
barguzīda  hue  dastār-e-fazīlat  ke  baġhair
dekh  tanhā  mirī  āvāz  kahāñ  tak  pahuñchī
kyā  safar  tai  nahīñ  hote  haiñ  rifāqat  ke  baġhair
ishq  meñ  'mīr'  ke  ādāb  na  barto  ki  yahāñ
kaam  chaltā  nahīñ  ailān-e-mohabbat  ke  baġhair
ret  par  thak  ke  girā  huuñ  to  havā  pūchhtī  hai
aap  is  dasht  meñ  kyuuñ  aa.e  the  vahshat  ke  baġhair