ḳhvāb  meñ  bhī  merī  zanjīr-e-safar  kā  jāgnā
aañkh  kyā  lagnā  ki  ik  saudā-e-sar  kā  jāgnā
agle  din  kyā  hone  vaalā  thā  ki  ab  tak  yaad  hai
intizār-e-sub.h  meñ  vo  saare  ghar  kā  jāgnā
bastiyoñ  se  shab-navardoñ  kā  chalā  jaanā  magar
raat  bhar  ab  bhī  charāġh-e-rahguzar  kā  jāgnā
āḳhirī  ummīd  kā  mahtāb  jal  bujhne  ke  ba.ad
merā  so  jaanā  mire  dīvār-o-dar  kā  jāgnā
phir  havāoñ  se  kisī  imkān  kī  milnā  naved
phir  lahū  meñ  ārzū-e-tāza-tar  kā  jāgnā
ek  din  us  lams  ke  asrār  khulnā  jism  par
ek  shab  is  ḳhaak  meñ  barq-o-sharar  kā  jāgnā
is  kā  harf-e-muḳhtasar  bedāriyoñ  kā  silsila
lafz  meñ  ma.anī  kaa,  ma.anī  meñ  asar  kā  jāgnā
be-navā  patte  bhī  āyāt-e-numū  paḌhte  hue
tum  ne  dekhā  hai  kabhī  shāḳh-e-shajar  kā  jāgnā
yak-ba-yak  har  raushnī  kā  Duub  jaanā  aur  phir
āsmāñ  par  ik  tilsm-e-sīm-o-zar  kā  jāgnā