ga.e  dinoñ  ke  daraḳhshanda  rābtoñ  se  na  ruuTh
mire  ḳhulūs  ke  tābinda  silsiloñ  se  na  ruuTh
mohabbatoñ  kī  vafā-kesh  bārishoñ  se  na  ruuTh
kisī  se  ruuTh  magar  apne  dostoñ  se  na  ruuTh
ḳhizāñ  kī  zard  havā.eñ  tirī  talāsh  meñ  haiñ
chaman  se  ruuTh  daraḳhtoñ  kī  Tahniyoñ  se  na  ruuTh
palaT  na  jaa.eñ  hamesha  ko  tere  āñgan  se
gudāz  lamhoñ  kī  be-ḳhvāb  āhaToñ  se  na  ruuTh
aziiz  jaan  khulī  khiḌkiyoñ  kī  ḳhushbū  ko
galī  se  tark-e-marāsim  sahī  gharoñ  se  na  ruuTh
gumān-o-vaham  ke  be-nām  jhuTpuToñ  se  nikal
zabāñ  na  khol  magar  dil  kī  dhaḌkanoñ  se  na  ruuTh
javāñ  rutoñ  ko  gale  se  lagā  ke  jī  'irfān'
dil-o-nazar  ke  ziyā-bār  mausamoñ  se  na  ruuTh