ruuh  ke  mojazoñ  kā  zamāna  nahīñ  jism  hī  kuchh  karāmāt  karte  raheñ
apne  hone  kā  elaan  karte  raheñ  apne  hone  kā  isbāt  karte  raheñ
barf-e-rut  aa  ga.ī  phir  na.ī  bastiyoñ  se  na.ī  hijratoñ  ne  pukārā  hameñ
lekin  is  baar  pardes  jaate  hue  rāstoñ  par  nishānāt  karte  raheñ
phir  koī  tishna-lab  tiir  is  dasht  meñ  ham  tak  aayā  hai  tai  kar  ke  kitnā  safar
ai  rag-e-jāñ  kī  jū-e-ravāñ  ham  bhī  kuchh  mehmāñ  kī  mudārāt  karte  raheñ
ek  hī  peḌ  par  saañp  aur  aadmī  saath  rahte  haiñ  sailāb  utarne  talak
ham-safar  hai  agar  dushman-e-jāñ  to  kyā  raah  sunsān  hai  baat  karte  raheñ
jaan  lene  kā  vaisā  salīqa  abhī  lashkar-e-dushmanāñ  meñ  kisī  ko  nahīñ
aao  ab  apne  ḳhemoñ  meñ  vāpas  chaleñ  dostoñ  se  mulāqāt  karte  raheñ