raat  ik  shahr  ne  taaza  kiye  manzar  apne
niiñd  ā.ankhoñ  se  uḌī  khol  ke  shahpar  apne
tum  sar-e-dasht-o-chaman  mujh  ko  kahāñ  DhūñDte  ho
maiñ  to  har  rut  meñ  badal  detā  huñ  paikar  apne
yahī  vīrāna  bachā  thā  to  ḳhudā  ne  āḳhir
rakh  diye  dil  meñ  mire  saat  samundar  apne
roz  vo  shaḳhs  sadā  de  ke  palaT  jaatā  hai
maiñ  bhī  rahtā  huñ  bahut  jism  se  bāhar  apne
kis  qadar  pās-e-muravvat  hai  vafādāroñ  ko
mere  siine  meñ  chhupā  rakkhe  haiñ  ḳhanjar  apne
koī  sultān  nahīñ  mere  sivā  merā  sharīk
masnad-e-ḳhāk  pe  baiThā  huñ  barābar  apne