ye  shahr-e-zāt  bahut  hai  agar  banāyā  jaa.e
to  kā.enāt  ko  kyuuñ  dard-e-sar  banāyā  jaa.e
zarā  sī  der  ko  ruk  kar  kisī  jazīre  par
samundaroñ  kā  safar  muḳhtasar  banāyā  jaa.e
ab  ek  ḳhema  lage  dushmanoñ  kī  bastī  meñ
duā-e-shab  ko  nishān-e-sahar  banāyā  jaa.e
yahī  kaTe  hue  baazū  alam  kiye  jaa.eñ
yahī  phaTā  huā  siina  sipar  banāyā  jaa.e
sunā  ye  hai  ki  vo  dariyā  utar  gayā  āḳhir
to  aao  phir  usī  retī  pe  ghar  banāyā  jaa.e
ajab  masāf  sukūt  o  suḳhan  meñ  jaarī  hai
kise  vasīla-e-arz-e-hunar  banāyā  jaa.e