koī  bijlī  in  ḳharāboñ  meñ  ghaTā  raushan  kare
ai  añdherī  bastiyo  tum  ko  ḳhudā  raushan  kare
nanhe  hoñToñ  par  khileñ  māsūm  lafzoñ  ke  gulāb
aur  māthe  par  koī  harf-e-duā  raushan  kare
zard  chehroñ  par  bhī  chamke  surḳh  jazboñ  kī  dhanak
sāñvle  hāthoñ  ko  bhī  rañg-e-hinā  raushan  kare
ek  laḌkā  shahr  kī  raunaq  meñ  sab  kuchh  bhuul  jaa.e
ek  buḌhiyā  roz  chaukhaT  par  diyā  raushan  kare
ḳhair  agar  tum  se  na  jal  paa.eñ  vafāoñ  ke  charāġh
tum  bujhānā  mat  jo  koī  dūsrā  raushan  kare
aag  jaltī  chhoḌ  aa.e  ho  to  ab  kyā  fikr  hai
jaane  kitne  shahr  ye  pāgal  havā  raushan  kare
dil  hī  fānūs-e-havā  dil  hī  ḳhas-o-ḳhār-e-havas
dekhnā  ye  hai  ki  us  kā  qurb  kyā  raushan  kare
yā  to  is  jañgal  meñ  nikle  chāñd  tere  naam  kā
yā  mirā  hī  lafz  merā  rāstā  raushan  kare