ḳharāba  ek  din  ban  jaa.e  ghar  aisā  nahīñ  hogā
achānak  jī  uTheñ  vo  bām-o-dar  aisā  nahīñ  hogā
vo  sab  ik  bujhne  vaale  shola-e-jāñ  kā  tamāshā  thā
dobāra  ho  vahī  raqs-e-sharar  aisā  nahīñ  hogā
vo  saarī  bastiyāñ  vo  saare  chehre  ḳhaak  se  nikleñ
ye  duniyā  phir  se  ho  zer-o-zabar  aisā  nahīñ  hogā
mire  gum-gashtagāñ  ko  le  ga.ī  mauj-e-ravāñ  koī
mujhe  mil  jaa.e  phir  ganj-e-guhar  aisā  nahīñ  hogā
ḳharāboñ  meñ  ab  un  kī  justujū  kā  silsila  kyā  hai
mire  gardūñ-shikār  aa.eñ  idhar  aisā  nahīñ  hogā
hayūle  raat  bhar  mehrāb-o-dar  meñ  phirte  rahte  haiñ
meñ  samjhā  thā  ki  apne  ghar  meñ  Dar  aisā  nahīñ  hogā
maiñ  thak  jā.ūñ  to  bāzū-e-havā  mujh  ko  sahārā  de
girūñ  to  thaam  le  shāḳh-e-shajar  aisā  nahīñ  hogā
koī  harf-e-duā  mere  liye  patvār  ban  jaa.e
bachā  le  Dūbne  se  chashm-e-tar  aisā  nahīñ  hogā
koī  āzār  pahle  bhī  rahā  hogā  mire  dil  ko
rahā  hogā  magar  ai  chāra-gar  aisā  nahīñ  hogā
ba-hadd-e-vus.at-e-zanjīr  gardish  kartā  rahtā  huuñ
koī  vahshī  giraftār-e-safar  aisā  nahīñ  hogā
badaun  terī  miTTī  se  bichhaḌ  kar  jī  rahā  huuñ  maiñ
nahīñ  ai  jān-e-man,  bār-e-digar  aisā  nahīñ  hogā