us  kī  timsāl  ko  paane  meñ  zamāne  lag  jaa.eñ
ham  agar  ā.īna-ḳhānoñ  hī  meñ  jaane  lag  jaa.eñ
kyā  tamāshā  hai  ki  jab  bikne  pe  raazī  ho  ye  dil
ahl-e-bāzār  dukānoñ  ko  baḌhāne  lag  jaa.eñ
paañv  meñ  ḳhaak  hī  zanjīr-e-girāñ  hai  ki  nahīñ
pūchhnā  log  jab  is  shahr  se  jaane  lag  jaa.eñ
āshiqī  ke  bhī  kuchh  ādāb  huā  karte  haiñ
zaḳhm  khāyā  hai  to  kyā  hashr  uThāne  lag  jaa.eñ
aur  kis  tarah  kareñ  husn-e-ḳhudā-dād  kā  shukr
sher  likhne  lageñ  tasvīr  banāne  lag  jaa.eñ
kuchh  to  zāhir  ho  ki  haiñ  jashn  meñ  shāmil  ham  log
kuchh  nahīñ  hai  to  chalo  ḳhaak  uḌāne  lag  jaa.eñ