us  se  bichhaḌ  ke  bāb-e-hunar  band  kar  diyā
ham  jis  meñ  jī  rahe  the  vo  ghar  band  kar  diyā
shāyad  ḳhabar  nahīñ  hai  ġhazālān-e-shahr  ko
ab  ham  ne  jañgaloñ  kā  safar  band  kar  diyā
apne  lahū  ke  shor  se  tañg  aa  chukā  huñ  maiñ
kis  ne  ise  badan  meñ  nazar-band  kar  diyā
ab  DhūñD  aur  qadr-shanāsān-e-rañg-o-bū
ham  ne  ye  kaam  ai  gul-e-tar  band  kar  diyā
ik  ism-e-jāñ  pe  Daal  ke  ḳhāk-e-farāmushī
andhe  sadaf  meñ  ham  ne  guhar  band  kar  diyā