toḌ  dī  us  ne  vo  zanjīr  hī  dildārī  kī
aur  tash.hīr  karo  apnī  giraftārī  kī
ham  to  sahrā  hue  jaate  the  ki  us  ne  aa  kar
shahr  ābād  kiyā  nahr-e-sabā  jaarī  kī
ham  bhī  kyā  shai  haiñ  tabī.at  milī  sayyāra-shikār
aur  taqdīr  milī  āhū-e-tātārī  kī
itnā  saada  hai  mirā  māya-e-ḳhūbī  ki  mujhe
kabhī  aadat  na  rahī  ā.ina-bardārī  kī
mire  gum-gashta  ġhazāloñ  kā  pata  pūchhtā  hai
fikr  rakhtā  hai  masīhā  mirī  bīmārī  kī
us  ke  lahje  meñ  koī  chiiz  to  shāmil  thī  ki  aaj
dil  pe  is  harf-e-ināyat  ne  girāñ-bārī  kī